Aaj ki Raat

Aaj main kya likhoon? Aaj toh bada din hai aur saari dharti pe log araam kar rahe honge. Joh thode bahut kaam kar rahe hain, unke liye main jaan jalaana uchit nahin samajhti. Jaise ki woh airline waale, bus drivers, conductors, hotel staff, BPO staff.Cops ko kaise bhoola jaa sakta hai. Aur bhi honge bijli paani vibhaag ke log. Aur dukaanon ka kya kehna. Woh toh saale lootne mein lage hai. Hotel restaurants toh issi liye khule hai kyunki abhi unki kamaai ka waqt hai.

Hamare ghar kaam karne waale saare aaye they aaj...teen bai, doodhwala, ghaadi saaf karne waala, istri waala. Yahan tak ki jab main DOn 2 dekhne gayee toh wahaan waale bhi kaam kar rahe they. Ab galtiyaan kiss se nahin hoti. Hum nashe mein nahi they par Don dekhne ki galti fir bhi kar baithey. In sardiyon ka maahoul hi kuchh aisa hota hai, Insaan jaante hue bhi galtiyaan karna chaahta hai.

Kal jab hum raat ko do baje Strawberries aur cream khaa rahe they , tab thoda darr sa laga.Nahin , Baba, yeh Dilli nahin hai, waisa koi darr nahin thaa. Main toh nashe mein dhoot bachon ki baat kar rahi thi. Bees saal ki umr, lad khadate hue paaun, haath mein sutta aur doosre haath mein ladki. Mujhe bas yeh darr thaa ki kahin inki ghaadi ka accident na ho jaaye. Bambai ki Police ki sarahna deni padegi. Sab jagah nakabandi chaaloo thee. Main aur woh iss mausam ka lutf nahin uthha rahe they. Hum in saare naujawaanon ki chinta kar rahe they. Chaah ke bhi mein hamari baaton ka topic nahin badal paa rahi thi. Baar baar nazar unhi pe jaa rahi thi. Aaj subah newspaper kholne mein bhi darr rahi thi. Ek nahi aise nashe mein kitne saare bachein honge.

Bada moralistic stance nahin le rahi thi, par mann kuchh khatta sa ho raha thaa. Comedy store ki haansi aur jokes bhi mere ya unke chehre pe muskurahat nahi laa rahe they. Hamara hasi ka nasha pura utar chukaa thaa. Apne din yaad kar rahe they. Main mere Breach Candy hostel ke aur woh apni engineering college ke. Log toh tab bhi peete they aur sutta bhi par ek sayam jaroor hota thaa. Ladkiyon ke saath , ladke thode responsible behave karte they. Ladkiyon ko ghar pahuncha kar apne ghar sahi salamat pahunchne ki har ek for fiqr thi.Lekin aaj kal ki recklessness missing thi, Khuda ka shukr hai.

Kissi mitr ne kaha ki woh apne bete beti ko kahin nahin jaane deta Christmas aur New year s eve pe. Main ne puchha kya woh atthrah saal ke hain. Usne haan bhar di aur main uss se lad padi. Kyun baandh ke rakhte ho apnon ko? Kyun unhe jeene nahi dete? ghaltiyaan nahin karenege toh seekhenge kaise? Unhe trust kyun nahin karte? Apni upbringing ko kyun trust nahin karte ki tumhara baccha koi ghalat kaam nahin karega? Fir koi aur aa gaya aur woh jawaab dene se bach gaya.

Kal raat ke baad laga ki mujhe kissi ke beech mein nahin bolna chahiye. Har ek ka apne santaan ko bada karne ka tareeka alag hota hai. Main kaun hoon usse sahi ya ghalat kehne waali?

Comments

Popular posts from this blog

Nange Paon in Navratri

Antakshari

Shraddh period in Hinduism